Sunday, April 27, 2008

Khabare e Tahayyer

Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junuu.N rahaa na parii rahii
na to tuu rahaa na to mai.n rahaa, jo rahii so beKhabarii rahii

shaah-e-beKhudii ne ataa kiyaa mujhe ab libaas-e-barahanagii
na Khirad kii bakhiyaagarii rahii na junuu.N kii pardaadarii rahii

chalii simt-e-Gaib se ik havaa ki chaman zahuur kaa jal gayaa
magar ek shaaKh-e-nihaal-e-Gham jise dil kahe.n so harii

rahii nazar-e-taGaaful-e-yaar kaa gilaa kis zabaa.N so.n bayaa.N karuu.
N ki sharaab-e-sad-qadaah aarazuu Khum-e-dil me.n thii so bharii rahii

vo ajab gha.Dii thii mai.n jis gha.Dii liyaa dars-e-nusKhaa-e-ishq kaa
ki kitaab-e-aql kii taaq me.n jyuu.N dharii thii tyuu.n hii dharii rahii

tere josh-e-hairat-e-husn kaa asar is qadar so.n yahaa.
N huaa ki na aa_iine me.n rahii jilaa na parii kuu.N jalvaa-garii rahii

kiyaa Khaak aatish-e-ishq ne dil-e-benavaa-e-"Siraj" ko.n
na Khatar rahaa na hazar rahaa magar ek beKhatarii rahii

courtesy

http://www.urdupoetry.com/siraj01.html

No comments: